Search This Blog

Wednesday, July 12, 2017

Mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe.....

Mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe dost ban ke dagha na de
Main hun dard-e-ishq se jaan-ba-lab mujhe zindagi ki dua na de.
       
      --------- Shakeel Badayuni

Baatein jo theen durust purane....

Baatein jo theen durust purane nisaab mein
Un mein se ek bhi to nahin hai kitaab mein

         --------- Kamal Ahmad Siddiqi

Ai kaash hamaari qismat men aisi bhi koi....

Ai kaash hamaari qismat men aisi bhi koi shaam aa jaye
Ek chand falak par nikla ho ek chand sar-e-baam aa jaye.
               -------- Anwar Mirzapuri

Kisi ne mol na poocha dil-e-shikasta ka...

Kisi ne mol na poocha dil-e-shikasta ka
Koi khareed ke toota piyala kya karta.

              --------- Haidar Ali Aatish

Ab tere zikr pe ham baat badal dete hain..

Ab tere zikr pe ham baat badal dete hain
Kitni raghbat thi tere naam se pahle pahle

               --------- Ahmad Faraz

Khatm hua mera fasana ab ye aansu...

Khatm hua mera fasana ab ye aansu ponch bhi lo
Jis mein koi tara chamke, aaj ki raat wo raat nahin.
                 --------Qateel Shifai

Monday, July 10, 2017

Tere Mere DarmiyaN Na Ho Koi Mahdood...

Tere Mere DarmiyaN Na Ho Koi Mahdood

Ho Hm NawaN Tere Sath Har Pal Maujood.

                   ------Adnan Jaunpuri

Sunday, July 9, 2017

Top 10 sher of Mirza Ghalib.

1.Apni gali men mujhko na kar dafn baad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyuun tera ghar mile.

2.Aaye hai be-kasi-e-ishq pe rona ‘Ghalib’
kis ke ghar jaayega sailaab-e-balaa mere baad.

3.Aaina dekh apna sa munh le ke rah gaye
saahab ko dil na dene pe kitna guruur tha.

4.Aage aati thi haal-e-dil pe hansi
ab kisi baat par nahi aati.

5.Aata hai daagh-e-hasrat-e-dil ka shumaar yaad
mujh se mire gunah ka hisaab ai khuda na maang.

6.Aashiq hoon pe maashooq-farebi hai mira kaam
majnuun ko bura kahti hai laila mere aage.

7.Ishq ne ‘Ghalib’ nikamma kar diya
varna ham bhi aadmi the kaam ke.

8.Ishq par zor nahi hai ye vo aatash ‘Ghalib’
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane.

9.Is nazaaqat ka bura ho vo bhale hain to kya
haath aave to unhe haath lagaaye na bane.

10.Is saadgi pe kaun na mar jaaye ai khuda
ladte hain aur haath mein talwaar bhi nahi.

            -------- Mirza Ghalib

Mufliseen Ke BacchoN Ki Bekasi Dekhi Eid...

Mufliseen Ke BacchoN Ki Bekasi Dekhi Eid Ke Roz bhi Unka Faka Dekha

Dil Dahla ADNAN Ye Manzar Dekh Kar Aj Bhi Hum Sirf Apna Apna Dekha....   

                     --------- Adnan Jaunpuri

Albatta Tm Kabhi Be Ghairat Na Banna...

Albatta Tm Kabhi Be Ghairat Na Banna

Kabhi bhi Tagaful Ki Rangat Na Banna

SazayeiN Jo De Qubool Kar Lo Ab Tm

Apni Zindagi Ki Tum Adalat Na Banna

Farman Mera Tum Sunlo Aye ADNAN

Albatta Tm Kabhi Be Ghairat Na Banna

           ---------- Adnan jaunpuri

Saturday, July 8, 2017

shab-e-intezaar ki kash-ma-kash me na puch kaise sahar hue..

shab-e-intezaar  ki kash-ma-kash me na puch kaise sahar hue,
kabhi ek chirag bujha diya kabhi ek chirag jala diya.

⇩⇩⇩⇩⇩


zafa ke zikr pe tum kyun sambhal ke baiyh gaye,
tumhari baat nahi baat hai zamane ki....


           ------- Mazhruh Sultanpuri

Roz kuch sochti reh jaati hain meri nazre.....

Roz kuch sochti reh jaati hain meri nazre,


Roz kuch log guzarte hain sawalon ki tarha. 

        
                         ---- Azhar Inayti

Kehte toh yun kehte , yun kehte jo woh aata....

Kehte toh yun kehte , yun kehte jo woh aata....ye sab kehne ki baat hai , kuch bhi na kaha jaata...

                                                                                                       ------ Meer

Lakh roke koi mujhko toh magar jana hai....

                       Lakh roke koi mujhko toh magar jana hai....

Lakh roke koi mujhko toh magar jana hai,
kya pashopesh-(piche-aage) ho jab taye hai ki mar jana hai.


kyun nahi taa-ate rab karte ki maloom hai jab 
humko aalmo-fani(asmanjash) se guzar jana hai.



Kabhi guhar , kabhi hira , kabhi sanam....

Kabhi guhar , kabhi hira , kabhi sanam....
tarah tarah se ye patthar fareeb deta hai....
------ AAkil Jaunpuri


Karte the jo hamesha hi nafrat ki guftugu.....





Karte the jo hamesha hi nafrat ki guftugu,

wo bhi suna hai prem ke sanche me dhal gaye ,

        ⇩⇩

dekhne ke liye darkar hai dil ki aankhein ,

zarre zarre me yahan prem chupa hota hai,

       ⇩⇩

kya luft hai jo gair parda khole 

jaadu toh woh hai jo sar chadh ke bole,

     ⇩⇩

bhaanp hi lenge ishaara sare-mehfil jo kiya,

taadne wale kayamat ki nazar rakhte hain...



                                                       ----------  Haji Ahmed Nisar (jaunpuri)

ulfat ke jab sharare zuban pe machal gaye...

  • ulfat ke jab sharare zuban pe machal gaye
  • shishe ki kya bishat hai patthar pighal gye
                                                          ⇩⇩
  • shohrat ke asmaan pe teharta nahi koi
  • kitne hi aftaab uge aur dhal gaye
                                                                    
                                                        ------  dr . shri pal singh  

                                                                       (jaunpuri)