Search This Blog

Monday, October 30, 2017

चलते रहते हैं कि चलना ....

چلتے رہتے ہیں کہ چلنا ہے مسافر کا نصیب
سوچتے رہتے ہیں کس راہ گزر کے ہم ہیں

चलते रहते हैं कि चलना है मुसाफ़िर का नसीब
सोचते रहते हैं किस राहगुज़र के हम हैं.

Ye na thi hamari qismat...

Ye na thi hamari qismat ki visal-e-yaar hota
Agar aur jeete rahte yahi intizaar hota
#Ghalib

शाम आई तो .....

शाम आई तो बिछड़े हुए हम-सफ़र
आँसुओं से इन आँखों में आते रहे
~वसीम बरेलवी

Le de ke apne paas faqat....

Le de ke apne paas faqat ek nazar to hai
kyun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham..

हज़ार राह चले फिर वो रहगुज़र ...

ہزار راہ چلے پھر وہ رہ گزر آئی
کہ اک سفر میں رہے اور ہر سفر سے گئے

हज़ार राह चले फिर वो रहगुज़र आई
कि इक सफ़र में रहे और हर सफ़र से गए

Friday, October 27, 2017

वो अफ़्साना जिसे अंजाम तक....

وہ افسانہ جسے انجام تک لانا نہ ہو ممکن
اسے اک خوبصورت موڑ دے کر چھوڑنا اچھا

वो अफ़्साना जिसे अंजाम तक लाना न हो मुमकिन
उसे इक ख़ूब-सूरत मोड़ दे कर छोड़ना अच्छा

#Sahir Ludhianvi

Bhoole hain rafta rafta unhein..

Bhoole hain rafta rafta unhein muddaton mein ham
Qiston mein khud-kushi ka maza ham se poochhiye
~Khumar Barabankavi

Shaam-e-gham yaad hai,

Shaam-e-gham yaad hai, kab shama jali yaad nahin
Kab wo rukhsat huye, kab raat Dhali yaad nahin..

●●◆●◆●● Ahmad Mushtaq

तमाशाई बने रहिए तमाशा..

تماشائی بنے رہیے تماشا دیکھتے رہیے
یہی دنیا ہے تو کب تک یہ دنیا دیکھتے رہیے

तमाशाई बने रहिए तमाशा देखते रहिए
यही दुनिया है तो कब तक ये दुनिया देखते रहिए

◆●◆● Iqbal Ashhar

Hain ab is fikr mein Doobe...

Hain ab is fikr mein Doobe huye ham
Use kaise lage rote huye ham
~Shariq Kaifi

Yaqeen na aaye to ek baat...

Yaqeen na aaye to ek baat poochh kar dekho
Jo hans raha hai wo zakhmon se choor niklega

~Ameer Qazalbash

कहानी लिखते हुए, दास्ताँ सुनाते हुए

کہانی لکھتے ہوئے داستاں سناتے ہوئے
وہ سو گیا ہے مجھے خواب سے جگاتے ہوئے

कहानी लिखते हुए, दास्ताँ सुनाते हुए
वो सो गया है, मुझे ख़्वाब से जगाते हुए

●●● Saleem Kausar

कई पड़ाव थे मंज़िल की राह

کئی پڑاؤ تھے منزل کی راہ میں تابشؔ
مرے نصیب میں لیکن سفر کچھ اور سے تھے.

कई पड़ाव थे मंज़िल की राह में 'ताबिश'
मेरे नसीब में लेकिन सफ़र कुछ और से थे

~~~~~ Tabish Kamal

Thursday, October 19, 2017

aaina kyun na dun ki tamasha kahen jise ....

aaina kyun na dun ki tamasha kahen jise
aisa kahan se laun ki tujh sa kahen jise
hasrat ne la rakha teri bazm-e-KHayal mein
gul-dasta-e-nigah suwaida kahen jise
phunka hai kis ne gosh-e-mohabbat mein ai KHuda
afsun-e-intizar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-gharibi se Daliye
wo ek musht-e-KHak ki sahra kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan guseKHta dariya kahen jise
darkar hai shaguftan-e-gul-ha-e-aish ko
subh-e-bahaar pumba-e-mina kahen jise
'ghaalib' bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai ki sab achchha kahen jise
ya rab hamein to KHwab mein bhi mat dikhaiyo
ye mahshar-e-KHayal ki duniya kahen jise

MIRZA GHALIB

aaina dekh apna sa munh le ke rah gae

aaina dekh apna sa munh le ke rah gae
sahab ko dil na dene pe kitna ghurur tha
qasid ko apne hath se gardan na mariye
us ki KHata nahin hai ye mera qusur tha
zof-e-junun ko waqt-e-tapish dar bhi dur tha
ek ghar mein muKHtasar sa bayaban zarur tha
ai wae-ghaflat-e-nigah-e-shauq warna yan
har para sang laKHt-e-dil-e-koh-e-tur tha
dars-e-tapish hai barq ko ab jis ke nam se
wo dil hai ye ki jis ka taKHallus subur tha
har rang mein jala 'asad'-e-fitna-intizar
parwana-e-tajalli-e-sham-e-zuhur tha
shayad ki mar gaya tere ruKHsar dekh kar
paimana raat mah ka labrez-e-nur tha
jannat hai teri tegh ke kushton ki muntazir
jauhar sawad-e-jalwa-e-mizhgan-e-hur tha
MIRZA GHALIB