Search This Blog

Thursday, September 1, 2022

munkir hote hain hunar wale

munkir hote haiñ hunar vaale

naḳhl jhuk jaate haiñ samar vaale

ham ne ghūrā to hañs ke farmāyā

achchhe aa.e burī nazar vaale

meñhdī mal kar vo shoḳh kahtā hai

señk leñ āñkheñ chashm-e-tar vaale

hai salāmat jo sañg-e-dar un

saikḌoñ mujh se dard-e-sar vaale

'qadr' kyā apne paas dil ke sivā

uḌeñ par vaale phūleñ zar vaale 

Qadr Bilgrami 

La ke duniya me hamen zahr-e-fana dete hain

ke duniyā meñ hameñ zahr-e-fanā dete haiñ

haa.e is bhūl-bhulayyāñ meñ daġhā dete haiñ

rahm bhī zulm-o-sitam se nahīñ ḳhālī un

dāman-e-teġh se zaḳhmoñ ko havā dete haiñ

dil meñ dard āñkhoñ meñ āshob-e-jigar meñ sozish

ishq kyā dete haiñ ik rog lagā dete haiñ

mun.imoñ nahīñ daryūza-garoñ par ehsāñ

aap kyā deñge vo ḳhāliq diyā dete haiñ

dahan-e-yār tārīf likhī kyā kahnā

'qadr' to jhuuT ko sach kar ke dikhā dete haiñ

#Qadr Bilgrami 

jo uzv-e-batin ḳhuda banata to ham dil-e-be-qarar hote........

jo uzv-e-bātin ḳhudā banātā to ham dil-e-be-qarār hote

jo uzv-e-zāhir ḳhudā banātā to dīda-e-ashk-bār hote

jo gard kar ke ḳhudā uḌātā to uḌte gard-e-malāl ho kar

jo sañg kar ke ḳhudā jamātā to jam ke lauh-e-mazār hote

ḳhudā jo shāna hameñ banātā to ham ḳhalish hote apne dil

ḳhudā jo ā.īna ham ko kartā to apne hairān-kār hote

jo roz ham ko ḳhudā banātā to bante roz-e-firāq-e-jānāñ

jo raat ham ko ḳhudā banātā to ham shab-e-intizār hote

ġharaz ki aisā musībatoñ hamāre dil ko mazā paḌā hai

ki 'qadr' ham ko ḳhudā banātā to ho ke be-qadr ḳhvār hote

#Qadr Bilgrami

Wednesday, August 31, 2022

guzar kar aadmi rah-e-musibat se sanvarta hai...

guzar kar aadmi rah-e-musibat se sanvarta hai 

qamar ka nuur shab ki zulmaton me hi nikharta hai 

ba-juz dard-e-hayat-e-ġham nahi milta kahin kuchh bhi

bashar duniya-e-fani me jahan se bhi guzarta hai 

gulon ki pattiyan jaise gulon se ruuTh jaati haim

dam-e-tanha.ī-e-ġham kuchh mira dil yuuu bikharta hai 

ba-surat qatra-e-shabnam huuu mai ḳhar-e-gulistan par 

mira dil zahmat-e-mehr-e-daraḳhshan se bhi Darta hai 

ye dekhā hai nahi be-faiz aamad abr-e-naisan ki

koi anjam hota hai bashar jo kuchh bhi karta hai 

farishton ka guzar jin manzilon se ġhair-mumkin hai 

bashar kī azmateñ dekho vahāñ se bhī guzartā hai 

nikohish nāḳhun-e-nādāñ pe qaabū pā hī jaatī hai 

baḌā parhez karte haiñ kahīñ tab zaḳhm bhartā hai 

sambhal ai firqa-e-ushshāq ab phir imtihāñ hogā 

sar-e-chilman kisī kāfir kā phir gesū sañvartā hai 

ulajhte haiñ tire kūche meñ jo murġh-e-chaman ke pair 

dam-e-parvāz gulshan se kisī kā dil bhī bhartā hai 

fanā kartā hai pahle zindagī kī har tamannā ko 

kahīñ tab jā ke insāñ pastī-e-ġham se ubhartā hai 

isī baa.is vufūr-e-ġham meñ aksar 'nāz' hañste haiñ 

musībat aur baḌhtī hai jo ġham se jitnā Dartā hai 
#Naaz Muradabadi 























Sunday, August 28, 2022

kis tarah jama kijiye ab apne aap ko...

kis tarah jama kijiye ab apne aap ko,
kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke.

#Adil Mansuri

Abhi se paanv ke ......

Abhi se paanv ke chhale na dekho 

abhi yaaro safar ki ibtida hai.

#Ejaz Rahmani