qamar ka nuur shab ki zulmaton me hi nikharta hai
ba-juz dard-e-hayat-e-ġham nahi milta kahin kuchh bhi
bashar duniya-e-fani me jahan se bhi guzarta hai
gulon ki pattiyan jaise gulon se ruuTh jaati haim
dam-e-tanha.ī-e-ġham kuchh mira dil yuuu bikharta hai
ba-surat qatra-e-shabnam huuu mai ḳhar-e-gulistan par
mira dil zahmat-e-mehr-e-daraḳhshan se bhi Darta hai
ye dekhā hai nahi be-faiz aamad abr-e-naisan ki
koi anjam hota hai bashar jo kuchh bhi karta hai
farishton ka guzar jin manzilon se ġhair-mumkin hai
bashar kī azmateñ dekho vahāñ se bhī guzartā hai
nikohish nāḳhun-e-nādāñ pe qaabū pā hī jaatī hai
baḌā parhez karte haiñ kahīñ tab zaḳhm bhartā hai
sambhal ai firqa-e-ushshāq ab phir imtihāñ hogā
sar-e-chilman kisī kāfir kā phir gesū sañvartā hai
ulajhte haiñ tire kūche meñ jo murġh-e-chaman ke pair
dam-e-parvāz gulshan se kisī kā dil bhī bhartā hai
fanā kartā hai pahle zindagī kī har tamannā ko
kahīñ tab jā ke insāñ pastī-e-ġham se ubhartā hai
isī baa.is vufūr-e-ġham meñ aksar 'nāz' hañste haiñ
musībat aur baḌhtī hai jo ġham se jitnā Dartā hai
#Naaz Muradabadi
No comments:
Post a Comment