Search This Blog

Thursday, September 1, 2022

munkir hote hain hunar wale

munkir hote haiñ hunar vaale

naḳhl jhuk jaate haiñ samar vaale

ham ne ghūrā to hañs ke farmāyā

achchhe aa.e burī nazar vaale

meñhdī mal kar vo shoḳh kahtā hai

señk leñ āñkheñ chashm-e-tar vaale

hai salāmat jo sañg-e-dar un

saikḌoñ mujh se dard-e-sar vaale

'qadr' kyā apne paas dil ke sivā

uḌeñ par vaale phūleñ zar vaale 

Qadr Bilgrami 

La ke duniya me hamen zahr-e-fana dete hain

ke duniyā meñ hameñ zahr-e-fanā dete haiñ

haa.e is bhūl-bhulayyāñ meñ daġhā dete haiñ

rahm bhī zulm-o-sitam se nahīñ ḳhālī un

dāman-e-teġh se zaḳhmoñ ko havā dete haiñ

dil meñ dard āñkhoñ meñ āshob-e-jigar meñ sozish

ishq kyā dete haiñ ik rog lagā dete haiñ

mun.imoñ nahīñ daryūza-garoñ par ehsāñ

aap kyā deñge vo ḳhāliq diyā dete haiñ

dahan-e-yār tārīf likhī kyā kahnā

'qadr' to jhuuT ko sach kar ke dikhā dete haiñ

#Qadr Bilgrami 

jo uzv-e-batin ḳhuda banata to ham dil-e-be-qarar hote........

jo uzv-e-bātin ḳhudā banātā to ham dil-e-be-qarār hote

jo uzv-e-zāhir ḳhudā banātā to dīda-e-ashk-bār hote

jo gard kar ke ḳhudā uḌātā to uḌte gard-e-malāl ho kar

jo sañg kar ke ḳhudā jamātā to jam ke lauh-e-mazār hote

ḳhudā jo shāna hameñ banātā to ham ḳhalish hote apne dil

ḳhudā jo ā.īna ham ko kartā to apne hairān-kār hote

jo roz ham ko ḳhudā banātā to bante roz-e-firāq-e-jānāñ

jo raat ham ko ḳhudā banātā to ham shab-e-intizār hote

ġharaz ki aisā musībatoñ hamāre dil ko mazā paḌā hai

ki 'qadr' ham ko ḳhudā banātā to ho ke be-qadr ḳhvār hote

#Qadr Bilgrami