lā ke duniyā meñ hameñ zahr-e-fanā dete haiñ
haa.e is bhūl-bhulayyāñ meñ daġhā dete haiñ
rahm bhī zulm-o-sitam se nahīñ ḳhālī un kā
dāman-e-teġh se zaḳhmoñ ko havā dete haiñ
dil meñ dard āñkhoñ meñ āshob-e-jigar meñ sozish
ishq kyā dete haiñ ik rog lagā dete haiñ
mun.imoñ kā nahīñ daryūza-garoñ par ehsāñ
aap kyā deñge vo ḳhāliq kā diyā dete haiñ
dahan-e-yār kī tārīf likhī kyā kahnā
'qadr' to jhuuT ko sach kar ke dikhā dete haiñ
No comments:
Post a Comment